mahe.ndra:
bahut din hu_e taaro.n ke desh me.n
cha.ndaa kii nagariyaa me.n rahate the ik raajaa
baj rahaa thaa duur duur unakii jay kaa baajaa
baiThe the partaapii raajaa vaise unakii raanii
jaisaa ruup ra.ng paayaa vaisii Gyaanii daanii
dono.n kii dulaarii ik bitiyaa thii pyaarii
phuul jaisii naazuk thii vo naam thaa phuul kumaarii
a.ndhii taqadiir ne a.ndher kiyaa bhaarii
chhiinii usake ho.nTho.n se ha.Nsii vo pyaarii pyaarii
phuul kumaarii bhuul ga_ii ha.Nsanaa muskuraanaa
luuT liyaa bhaag ne Kushii kaa vo khazaanaa
magar ye kaun, ye kaisii aawaaz ?
mannaa:
leke dil kaa saaz ham giit gaane aa gaye
he, dil ke kaliyo.n ne kahaa din suhaane aa ga_e
Gam ke baadal haT ga_e khul gayaa niilaa gagan
har kalii ko pyaar se chhuu ga_ii suuraj kiran
muskuraa lo jhuum lo o zamaane aa gaye
leke dil kaa saaz ham giit gaane aa ga_e
lataa:
samaa alabelaa din hai.n milan ke
priit leke aa_e dekho miit mere man ke
piyaa-piyaa gaaye jiyaa naache man moraa
merii unakii jo.Dii jaise chaa.Nd aur chakoraa
naino.n me.n chhupaaye phiruu.N sapane sajan ke
samaa alabelaa ...
jinhe.n mai.nne dil diyaa vo bhii rahe mere
man me.n manaa_uu.N mai.n saa.Njh aur savere
jiite jii na TuuTegii ye ba.ndhan jiivan ke
samaa alabelaa ...
mahe.ndra:
jaise unake achhe din phir se lauT aa_e
maalik aise sabakii sune sabake din lauTaa_e
|