la: ba.Dii pyaarii kahaanii hai mohabbat kii kahaanii bhii
ra: jahaa.N vaalo mohabbat aag bhii hai aur paanii bhii
la: kahii.n lab par taraane hain kahii.n ho.nTho.n par aahe.n hai.n
ra: kahii.n Kanjar gale par hai.n kahii.n gardan me.n baahe.n hai.n
la:mohabbat maut bhii hai aur mohabbat zi.ndagaanii bhii
dono.n: jahaa.N vaalo mohabbat aag bhii hai aur paanii bhii
ra: kisii ko paake ko_ii miiThe-miiThe giit gaataa hai
la: kisii ko khoke ko_ii raat din aa.Nsuu bahaataa hai
ra: mohabbat muskuraahaT bhii hai ashko.n kii zabaanii bhii
dono.n: jahaa.N vaalo mohabbat aag bhii hai aur paanii bhii
la: kahii.n hotii hai.n baate.n chaa.Nd sitaaro.n kii mastii me.n
ra: a.ndheraa hii a.ndheraa hii kisii ke dil kii bastii me.n
la: mohabbat ik dorangii.n rut hai suunii bhii suhaanii bhii
dono.n: jahaa.N vaalo mohabbat aag bhii hai aur paanii bhii
|