diivaane tum diivaane ham
kise hai Gam kyaa kahe ye zamaanaa
vahii hai dil vahii hai.n ham
magar nazar me.n nayaa hai fasaanaa
naye a.ndaaz liye aa_ii hai ye raat na_ii
zaraa saa chhe.D bhii do aaj ko_ii baat na_ii
na_ii mehafil na_ii halachal hai kahaa.N ham jaane naa
diivaane tum diivaane ham ...
yahaa.N nazaro.n me.n ka_ii ra.ng bhare daur chale
phir bhii pyaas kahe daur zaraa aur chale
jalii shamaa uThe shole jale kyo.n paravaane naa
diivaane tum diivaane ham ...
nahii.n hai hosh me.n vo hosh kii jo baat kahe
nashe me.n jhuume.n chalo ha.Nsatii hu_ii raat kahe
ko_ii kitanaa hame.n roke.n ruke.nge mastaane naa
diivaane tum diivaane ham ...
|