FITB
Home
Frequently
Asked Questions
Alphabetical
Index
Index
by Serial Number
Coming
Attractions
Known
FITB Candidates
Other
ISB Sites
|
Fill
In The Blanks [04]
u.Den
jab jab zulfe.n terii
Contributed
by Nita Awatramani and Surajit A. Bose
Note: The complete version of this song is now in the consolidated ISB. The original FITB article is retained here for archival purposes.
Film: Naya Daur (1957)
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Music: O. P. Nayyar
Lyrics: Sahir Ludhianvi
ISB Contributor: Sandeep S. Bajwa
The version of this song at
Rajiv Shridhar's site is quite fragmentary:
aa: | u.De.n jab jab zulfe.n terii, ku.Nvaariyo.n kaa dil machale
jind meriye |
ra: | ho, jab aise chikane chahare, to kaise na nazar phisale
jind meriye |
aa: | us gaa.Nv pe svarg bhii sadaqe, ke jahaa.N meraa yaar basataa
jind meriye |
ra: | paanii lene ke bahaane aa jaa, ke teraa meraa ik rastaa
jind meriye |
aa: | abhii chhe.De.nge galii ke sab la.Dake ke chaa.Nd bairii chhip jaane de |
The full version is given below:
aashaa: |
u.De.n jab jab zulfe.n terii \- 2
ho, u.De.n jab jab zulfe.n terii \- 2
ku.Nvaariyo.n kaa dil machale \-2
jind meriye |
rafii: |
ho.n jab aise chikane chehare \- 2
to kaise na nazar phisale \-2
jind meriye |
|
aashaa: |
ho, rut pyaar karan kii aaii \- 2
ke beriyo.n ke ber pak gaye \- 2
jind meriye |
rafii: |
kabhii Daal idhar bhii pheraa \- 2
ke tak\-tak nain thak gaye \-2
jind meriye |
|
aashaa: |
ho, us gaa.Nv pe swarg bhii sadaqe \- 2
ke jahaa.N meraa yaar basataa \- 2
jind meriye |
rafii: |
paanii lene ke bahaane aajaa \- 2
ke teraa meraa ik rastaa \-2
jind meriye |
|
rafii: |
ho, tujhe chaa.Nd ke bahaane dekhuu.N \- 2
tuu chhat par aajaa goriye \- 2
jind meriye |
aashaa: |
abhii chhe.De.nge galii ke sab la.Dake \- 2
ke chaa.Nd bairii chhip jaane de \-2
jind meriye |
|
rafii: |
ho, terii chaal hai naagin jaisii\- 2
rii jogii tujhe le jaaye.nge \- 2
jind meriye |
aashaa: |
jaaye.N kahii.n bhii magar ham sajanaa \- 2
yah dil tujhe de jaaye.nge \-2
jind meriye |
On the Naya Daur / Waqt cassette
there are some lines sung by Rafi in a very different tune added to the
end of this song:
o, dil deke dagaa de.nge,
yaar hai.n matalab ke,
ye de.nge to kyaa de.nge
duniyaa ko dikhaa de.nge
yaaro.n ke pasiine par ham
Kuun bahaa de.nge
Apparently in the movie these lines form a separate, fragmentary song, not part of "u.De.n jab jab zulfe.n terii."
|