ra : jisake li_e ta.Dape ham saaraa jiivan bhar
yahii hai vo saa.Njh aur saveraa -2
aa : janam-janam se a.Ndheraa thaa merii raaho.n me.n
ye baat kab thii bhalaa madabharii fizaa_o.n me.n
ra : sabaa bahaar ke Dole me.n tumako laa_ii hai
ke aaj saarii Kudaa_ii hai merii baa.Nho.n me.n
chalaa gayaa Gam kaa vo andheraa
milan hu_aa pyaar kaa sunaharaa
jisake li_e ta.Dape ...
aa : tumhii.n chhupe the merii zindagii ke darpaN me.n
tumhaaraa pyaar sameTaa thaa apane daaman me.n
ra : jale hai.n pyaar ke diipak banaa dhu_aa.N kaajal
khile hai.n phuul tamannaa ke dil ke aa.Ngan me.n
milaa mujhe saath sa.ng teraa
chamak uThaa hai nasiib teraa
jisake li_e ta.Dape ...
aa : merii palak tumhaarii palak kaa saayaa hai
zabaan-e-dil pe tumhaaraa hii naam aayaa hai
ra : nisaar aisii Kushii par hamaarii saarii umar
ke hamane chaa.Nd ko apane gale lagaayaa hai
tumane ra.ng pyaar kaa bharaa gaharaa
nikhar gayaa aasamaa.N kaa cheharaa
jisake li_e ta.Dape ...
|