giitaayan An Interface to ISB

terii jhiil sii gaharii aa.Nkho.n me.n - Dhuen Ki Lakeer (1974)  

Lyrics: Rameshwar Tyagi | Music: Shyamji-Ghanshyamji | Singer(s): Nitin Mukesh, Vani Jayram 
View in Nagari (Hindi)
ni: terii jhiil-sii gaharii aa.Nkho.n me.n kuchh dekhaa hamane vaa: kyaa dekhaa ni: tum bataao vaa: mai.n samajh ga_ii re diiwaane tuune raat koii sapanaa dekhaa ni: terii jhiil-sii gaharii ... ni: saa.Nso.n me.n chhipii dha.Dakan ke sa.ng jab pyaar ne lii thii a.Nga.Daaii ek swarg-parii chham-chham karatii baa.Nho.n me.n merii aa musakaaii madamast jawaanii kaa palako.n ke aa.Nchal me.n chhipanaa dekhaa vaa: mai.n samajh ga_ii re diiwaane tuune raat koii sapanaa dekhaa ni: terii jhiil-sii gaharii aa.Nkho.n me.n ni: amR^it ke saagar kii shruti ma.ndir ke diipak kii jyoti alha.D kamalo.n par pa.De hu_e hiire niilam maaNik motii terii uThatii-jhukatii palako.n me.n - 2 suuraj dekhaa chandaa dekhaa vaa: mai.n samajh ga_ii re diiwaane tuune raat koii sapanaa dekhaa ni: terii jhiil-sii gaharii aa.Nkho.n me.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.