ra: (nanhe munne bachche terii muTThii me.n kyaa hai) - 2
aa: muTThii me.n hai taqadiir hamaarii
ko: muTThii me.n hai taqadiir hamaarii
aa: ham ne qismat ko bas me.n kiyaa hai
ko: ham ne qismat ko bas me.n kiyaa hai
ra: (bholii bhalii matavaalii aa.Nkho.n me.n kyaa hai) -2
aa: aa.Nkhon me.n jhuume ummiido.n kii divaalii
ko: aa.Nkhon me.n jhuume.n ummiido.n kii divaalii
aa: aanevaalii duniyaa kaa sapanaa sajaa hai
ko: aanevaalii duniyaa kaa sapanaa sajaa hai ...
ra: (bhiikh me.n jo motii mile loge yaa na loge
zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kaa bolo kyaa karoge) -2
aa: bhiikh me.n jo motii mile to bhii ham naa le.nge
ko: bhiikh me.n jo motii mile to bhii ham naa le.nge
aa: zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kii maalaa pahane.nge
ko: zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kii maalaa pahane.nge
aa: mushkilo.n se la.Date bhi.Date jiine me.n mazaa hai
ko: mushkilo.n se la.Date bhi.Date jiine me.n mazaa hai
ra: (ham se na chhupaao bachcho hame.n bhii bataao
aanevaale duniyaa kaisii hogii samajhaao) -2
aa: aanevaale duniyaa me.n sab ke sar pe taaj hogaa
ko: aanevaale duniyaa me.n sab ke sar pe taaj hogaa
aa: na bhuukho.n kii bhii.D hogii na dukho.n kaa raaj hogaa
ko: na bhuukho.n kii bhii.D hogii na dukko.n kaa raaj hogaa
aa: badalegaa zamanaa ye sitaaro.n pe likhaa hai
ko: badalegaa zamanaa ye sitaaro.n pe likhaa hai ...
|