|  
         
      FITB 
        Home 
      Frequently 
        Asked Questions 
      Alphabetical 
        Index 
      Index 
        by Serial Number 
      Coming 
        Attractions 
      Known 
        FITB Candidates 
      Other 
        ISB Sites 
        
     | 
      
         
      Fill 
        In The Blanks [09] 
      aao 
        huzuur tumako sitaaro.n me.n le chaluu.N 
      Contributed 
        by Surajit A. Bose 
       
       
        
      Note: The complete version of this song is now 
        in the consolidated ISB. The original FITB article is retained here for 
        archival purposes. 
       This great drunken number is missing its prelude in ISB. There are also 
        a couple of minor corrections to be made in the second stanza. 
        Film: Kismat (1968) 
        Singer: Asha Bhosle 
        Music: O. P. Nayyar 
        Lyrics: Noor Dewasi 
        ISB Contributor:  
        
        aao huzuur tumako, sitaaro.n me.n le chaluu.N, ## hic! ## 
        dil jhuum jaae aisii, bahaaro.n me.n le chaluu.N 
        aao huzuur aao ... 
         hamaraaz hamaKayaal to ho, hamanazar bano 
          tay hogaa zindagii kaa safar, hamasafar bano \- 2 
          aa haa haa, aa.a.a, o 
          o, ho ... 
          aa haa haa, o ho ho, aa haa haa, ## hic! ## 
          chaahat ke ujale\-ujale nazaaro.n me.n le chaluu.N 
          dil jhuum jaae aisii, bahaaro.n me.n le chaluu.N 
          aao huzuur aao ... 
          likh do kitaab\-e\-dil pe koii, aisii daastaa.N 
          jisakii misaal de na sake, saato.n aasamaa.N 
          aa haa haa, aa.a.a, 
          o o, ho ... 
          aa haa haa, o ho ho, aa haa haa, ## hic! ## 
          baaho.n me.n baahe.n Daale, hazaaro.n me.n le chaluu.N 
          dil jhuum jaae aisii, bahaaro.n me.n le chaluu.N 
          aao huzuur aao... 
        
      Here is the long prelude: 
       ##[maniacal laughter] hic!## 
        hamase raushan hai chaa.Nd aur taare 
        hamako daaman samajhiye Gairat kaa 
        uTh gaye ham gar zamaane se 
        naam miT jaayegaa muhabbat kaa 
        dil hai naazuk kalii se phuulo.n se 
        yah na TuuTe Kayaal rakhiyegaa 
        aur agar aap se yah TuuT gayaa 
        jaan\-e\-jaa.N itanaa hii samajhiiyegaa 
        ##[Male voice:]## kyaa? 
        phir koii baavarii muhabbat kii 
        apanii zulfe.n nahii.n sa.Nvaaregii 
        aaratii phir kisii kanhaiyaa kii 
        koii raadhaa nahii.n utaaregii, ## hic! ## 
        aao huzuur tumako ...  
       |